yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai mizaj-e-sheher bhi badalta jata hai ruten qadim tawatur se aati jati hain darakht patton ke zewar badalta jata hai ufuq pe kyun nahin rukti koi kiran pal bhar ye kaun tezi se manzar badalta jata hai ghubar-e-waqt mein sab rang ghulte jate hain zamana kitne hi tewar badalta jata hai chhidi hui hai azal se dil o nigah mein jang mahaz ek hai lashkar badalta jata hai ye kis ka hath hai jo be-charagh raaton mein fasil-e-shahr ke patthar badalta jata hai parind ped se parwaz karte jate hain ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai