tum bhi nigah mein ho adu bhi nazar mein hai duniya hamare dida-e-hasrat-nagar mein hai han jaante hain jaan ka khwahan tumhin ko hum malum hai ki tegh tumhaari kamar mein hai kya rashk hai ki ek ka hai ek muddai tum dil mein ho to dard hamare jigar mein hai go ghair ki baghal mein sahi wo pari-jamal main to yahi kahunga ki meri nazar mein hai donon ne dard-e-ishq ko taqsim kar liya thoda sa dil mein hai to zara sa jigar mein hai main bhi hun aaj main ki bar aai murad-e-dil dil bhi hai aaj dil ki wo mehman ghar mein hai mamnun hun khayal ka apne shab-e-firaq jo samne nazar ke nahin wo nazar mein hai dilbar ho ek tum ki hamari nazar mein ho dil hai hamara dil ki tumhaari nazar mein hai kahte hain jis ko dil mere pahlu mein ab kahan hai bhi to paemal kisi rahguzar mein hai dekho to dekhte hain tumhein kis nigah se hasrat hai jis ka nam hamari nazar mein hai jis par padi pasij gaya mom ho gaya dubi hui nigah hamari asar mein hai jachta nahin nigah mein koi hasin bhi 'hijr' jab se kisi ki chand si surat nazar mein hai