sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai raqib ki bhi zarurat nikal hi aati hai qadam rakhen to kahan aab-o-reg-o-khak pe hum sabhi jagah koi turbat nikal hi aati hai hisab-e-qurb-o-kashish kar ke kyun hon sharminda mere lahu ki to qimat nikal hi aati hai hai pul-siraat ki hi bu-nisai rah-e-jahan yahan bhi hashr ki haalat nikal hi aati hai bade zamane se hun dushmanon ki aankhon mein kisi mein chashm-e-murawwat nikal hi aati hai main mirkaza hun magar mirkaza bhanwar ka hun kisi bhi mauj se qurbat nikal hi aati hai ye shairi hai padosi ke pattharon ke sabab tarashta hun to jiddat nikal hi aati hai