sitamgar tujh se hum kab shikwa-e-bedad karte hain hamein fariyaad ki aadat hai hum fariyaad karte hain mataa-e-zindagani aur bhi barbaad karte hain hum is surat se taskin-e-dil-e-nashad karte hain hawao ek pal ke waste lillah ruk jao wo meri arz par dhime se kuchh irshad karte hain na jaane kyun ye duniya chain se jine nahin deti koi puchhe hum is par kaun si be-dad karte hain nazar aata hai un mein beshtar ek narm-o-nazuk dil masaib ke liye sine ko jo faulad karte hain khuda ki maslahat kuchh is mein hogi warna behis but kise shadan banate hain kise nashad karte hain nahin dekha kahin jo majra-e-ishq mein dekha ki ahl-e-dard chup hain chaara-gar fariyaad karte hain asir-e-daimi gar dil na ho to aur kya ho jab kahin wo muskura kar ja tujhe aazad karte hain kiya hoga kabhi aadam ko sajda kahne sunne se farishte ab kahan parwa-e-adam-zad karte hain hamein ai dosto chup-chap mar jaana bhi aata hai tadap kar ek zara dil-jui-e-sayyaad karte hain bahut sada sa hai ai 'kaif' apne gham ka afsana wo hum ko bhul baithe hain jinhen hum yaad karte hain