soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya ek zahr-e-jaan-talab ko dawa kar diya gaya nasur bhar sake na fughan zabt ho saki jab nai ko nistan se juda kar diya gaya ahl-e-wafa mein maut ki talkhi ko sar-ba-sar qandab-e-zindagi se siwa kar diya gaya azbar kara diya hai khizan ko nisab-e-gul sarsar ko dars de ke saba kar diya gaya suraj se rang rang ki kirnen bikher kar mitti ka zard khet hara kar diya gaya lahki azan bajne lage raston ke farsh kirnon ko qaid-e-shab se riha kar diya gaya ruh-e-bahaar khun-e-shahidan ka rang dekh khak-e-chaman ko lala-qaba kar diya gaya