siwae-dar-ba-dari us ko khak milta hai jo aasman se apni zamin badalta hai main jab bhi ghar se nikalta hun raat ko tanha charagh le ke koi sath sath chalta hai ajib hota hai nazzargan-e-shauq ka haal rida-e-mah pahan kar wo jab nikalta hai baru-e-chashm rida-e-hijab tan li jae wo zer-e-saya-e-gul pairahan badalta hai fareb-e-qurb to dekho ki mere pahlu mein tamam raat koi karwaten badalta hai guzar dete hain aawara-gard aag ke gird jo be-thikana hain un ka bhi kaam chalta hai hamare dam se bhi hai mausamon ki gul-kari charagh-e-lala mein dil ka lahu bhi jalta hai main wo shahid-e-wafa hun ki qatl kar ke mujhe mera ghanim tassuf se hath malta hai hamein nasib hua aisi manzilon ka safar qadam qadam pe jahan rasta badalta hai hawa-e-daman-e-rangin ye kah gai 'tishna' hamare samne kis ka charagh jalta hai