siyah dasht ki jaanib safar dobara kiya na jaane qaf ki pariyon ne kya ishaara kiya na tez o tund hawa se mili najat mujhe na main ne saltanat-e-khak se kinara kiya falak ki samt nigahen uthane se pahle zamin ke sare manazir ko para para kiya siyah ban mein chamakta hun misl-e-dida-e-sher ye kis ne zarra-e-awara ko sitara kiya khumar-e-khwab utarne mein thodi der lagi phir us ke baad bade shauq se nazara kiya kisi ne mund ke aankhon ko phir se khol diya ye kis ne aap ko duniya pe aashkara kiya hamare hone ke manzar ki bhi karamat dekh tumhaari chashm ko fawwara-e-sharara kiya nashe mein naqsha riyasat hi ka bigad diya ye kya kiya ki samarqand ko bukhara kiya