tah mein har paikar ki ek paikar ubharta hai tera kaun izhaar-e-musalsal rok sakta hai tera qatl ho jata hai jab suraj dilon ke dasht mein gahri zulmat mein man shoala lapakta hai tera naqsh ubharte hain teri khushbu ke sath-e-khak par be-sada gumbad mein bhi tair chahakta hai tera saghar-e-gul se hazaron rang uchhalte hain tere ism-e-azam sabz lauhon par chamakta hai tera taza-dam hai kitni sadiyon ka safar karne ke baad qafila kab duri-e-manzil se thakta hai tera lahlahata hai dil-e-ishrat mein roz o shab wo nakhl jis ke barg o shakh mein mausam mahakta hai tera