sunahre sunahre paron wale baadal khule gesuon ki mahak le udenge kabhi sabz sawan kabhi zard jade darakhton ke kapde badalte rahenge jinhen raushni ka badan odhna hai wo kohre ki chadar lapete milenge wasila hai insan raaziq khuda hai jo dar band honge dariche khulenge azal se abad tak safar hi safar hai musafir hain sab log chalte rahenge