taban jo nur-e-husn ba-sima-e-ishq hai kis darja dil-pazir tamasha-e-ishq hai arbab-e-hosh jitne hain bimar-e-aql hain un ke liye zarur mudawa-e-ishq hai main kya hun ek zarra-e-sahra-e-ishtiyaq dil kya hai ek qatra-e-dariya-e-ishq hai shah o gada ka farq nahin ahd-e-husn mein ab jis ko dekhiye use dawa-e-ishq hai zahir hai be-qarari-e-paiham se haal-e-dil bekar hum ko dawa-e-ikhfa-e-ishq hai pinhan hijab-e-naz mein hai surat-e-jamal paida haruf-e-shauq se mana-e-ishq hai ai ahl-e-aql kyun ho use fikr-e-nam-o-nang 'hasrat' kharab-e-ishq hai ruswa-e-ishq hai