soe hue zehnon mein nadida sawera hai suraj ke bhi ugne par har samt andhera hai afsurda dilon mein bhi armanon ka dera hai sukhi hui shakhon par chidiyon ka basera hai main saf-tabiat hun kuchh dil mein nahin rakhta kya soch ke munh tum ne aaine se phera hai jaen to kidhar jaen bahke hue manzil se dhupen bhi ghaneri hain saya bhi ghanera hai 'jumbish' koi aa jae is waqt khayalon mein tanhai ka aalam hai ehsas ne ghera hai