wo shakhs aaj mujh ko ek aaina dikha gaya talab ke bhi usul hain yahi mujhe bata gaya ye qaede ki baat thi talab meri bhi shad ho zara sa tha mutalba wo be-nuqat suna gaya shaban-e-hijr mein mera jo ham-nafas bana raha visal-rut jab aa gai wo mera aashna gaya arab ke regzar mein chhupi hui bahaar thi utha jab ek shakhs to gulab sab khila gaya naya naya sa ahd hai nai nai riwayaten kitab mein wo pankhudi ka silsila chala gaya main ek dhundle aks ko lapak raha tha khwab mein wo bachpane sa lag raha tha jo gaya gaya gaya wo dard-ashna mera wo ham-nafas wo ham-nashin zara si baat par mujhe hi ajnabi bana gaya janab-e-'danish-asri’ aap sochna hi chhod den kahin ruka nahin hai wo ba-hadd-e-intiha gaya