udna to bahut udna aflak pe ja rahna hum ne kahan sikha hai zer-e-kaf-e-pa rahna aankhon ko khula rakhna kis ke liye aasan hai yan kis ko gawara hai aankhon ka khula rahna jo mauja-e-baad aaya zardi ka payambar tha eajaz se kya kam hai pedon ka hara rahna baghon mein khiraman thi shahron mein pareshan hai khushbu ko na ras aaya paband-e-hawa rahna main zat ke sahra mein ta-umr na bhatkunga ai shahr ke darwazo mere liye wa rahna