ye kis ne bharam apni zamin ka nahin rakkha

ye kis ne bharam apni zamin ka nahin rakkha
hum jis ke rahe us ne kahin ka nahin rakkha

dekha ki abhi ruh mein fariyaad-kunan hai
sajda jise paband jabin ka nahin rakkha

afsos ki inkar ki manzil nahin aai
har chand ki dar band nahin ka nahin rakkha

aur apni tarah ke yahan salik hain kai aur
har shakhs par ilzam yaqin ka nahin rakkha

gulzar khilae jahan bazar lagae
hum khak-nashinon ko wahin ka nahin rakha

ek aisi qanaat hai tabiat mein ki jis ne
mohtaj hamein nan-e-jawin ka nahin rakkha

us ghar ke muqaddar mein tabahi na likhi ho
wo jis ne khayal apne makin ka nahin rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close