subh baalin pe ye kahta hua gham-khwar aaya uth ki fariyaad-ras-e-ashiq-e-bimar aaya bakht-e-khwabida gaya zulmat-e-shab ke hamrah subh ka nur liye daulat-e-bedar aaya khair se bagh mein phir ghuncha-e-gul-rang khila shukr hai daur mein phir saghar-e-sarshaar aaya jhum ai tishna-e-gul-bang nigar-e-ishrat ki lab-e-yar liye chashma-e-guftar aaya shukr-e-izad ki wo sarkhail-e-masiha-nafsan zulf bar-dosh pai-e-pursish-e-bimar aaya rukhsat ai shikwa-e-qismat ki sar-e-bazm-e-nashat nasikh-e-masala-e-andak-o-bisyar aaya lillahil-hamd ki gulzar mein hangam-e-subuh hukm-e-azadi-e-murghan-e-giraftar aaya ghuncha-e-basta chatak jag uthi mauj-e-saba shola-e-husn bhadak misr ka bazar aaya khush ho ai ishq ki phir husn hua mail-e-naz muzhda ai jins-e-mohabbat ki kharidar aaya ai nazar shukr baja la ki khuli zulf-e-daraaz ai sadaf aankh utha abr-e-guhar-bar aaya baadban naz se lahra ke chali baad-e-murad karwan id mana qafila-salar aaya khush ho ai gosh ki jibril-e-tarannum chahka muzhda ai chashm ki paighambar-e-anwar aaya khush ho ai pir-e-mughan 'josh' hua naghma-farosh muzhda ai dukhtar-e-raz rind-e-qadah-khwar aaya