tira-bakhti tang-dasti sab mita sakta hun main apni duniya aap chahun to bana sakta hun main gul hi kya kharon ki faslen bhi uga sakta hun main tum agar chaho to ye manzar dikha sakta hun main mujh ko ye bhi fakhr hai hasil charagh-e-ishq ki ek lau se sainkadon shamen jala sakta hun main mere paikar ko muzayyan aap kar den to abhi lainen kuchh khinch kar khaka bana sakta hun main aap par itlaq hai ru-e-sukhan yani 'ziya' aap farmaen kise apna bana sakta hun main