su-e-dayar KHanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya

su-e-dariya khanda-zan wo yar-e-jaani phir gaya
motiyon ki aabru par aaj pani phir gaya

suiyan si kuchh dil-e-wahshi mein phir chubhne lagin
thik hone ko libas-e-arghawani phir gaya

hathkadi bhaari hai mere hath ki aaj ai junun
dast-e-jaanan ka kahin chhalla nishani phir gaya

zor paida kar ki pahunche jeb tak dast-e-junun
ab to mausam ai wafur-e-na-tawani phir gaya

sarfroshan-e-mohabbat se na hogi aankh chaar
munh jo us ki tegh ka ai sakht-jaani phir gaya

kahte ho hum aaj mulk-e-husn ke hain baadshah
kya huma baala-e-sar ai yar-e-jaani phir gaya

kyun kabutar ke ewaz hudhud na laya khatt-e-shauq
is khata par mujh se wo bilqis-e-sani phir gaya

bosa kaisa ek lab-e-shirin se gali bhi na di
aaj phir ummid-war-e-mehrbani phir gaya

ai zaifi saya sar par se gaya dhup aa gai
fasl badli aaftab-e-zindagani phir gaya

gir pade aansu uruj-e-mah-e-kaamil dekh kar
meri nazron mein tera ahd-e-jawani phir gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close