su-e-kalkatta jo hum ba-dil-e-diwana chale gungunate hue ek shokh ka afsana chale shahr-e-salma hai sar-e-rah ghataen hamrah saqiya aaj to daur-e-mai-o-paimana chale is tarah rail ke hamrah rawan hai baadal sath jaise koi udta hua mai-khana chale shahr-e-jaanan mein utarne ki thi hum par qadghan yun chale jaise koi shahr se begana chale garche tanha the magar un ke tasawwur ke nisar apne ham-rah liye ek pari-khana chale khel ummid ke dekho ki na ki un ko khabar phir bhi hum muntazir-e-jalwa-e-jaanana chale un ka paigham na lae hon ye rangin baadal warna kyun sath mere be-khud o mastana chale ghar se ba-ishrat-e-shahana hum aae the magar un ke kuche se chale jab to faqirana chale baadalo khidmat-e-salma mein ye kah do ja kar ki tere shahr mein hum aa ke gharibana chale hasrat o shauq ke aalam mein chale yun 'akhtar' muskuraata hua jaise koi diwana chale