yurish-e-alam hai lekin mera dil ek hai sainkadon maujon ki zad mein aaj sahil ek hai yun to hain lakhon hasin ulfat ke qabil ek hai chaar-jaanib hain shuaen mah-e-kaamil ek hai aah-e-sozan nala-e-shab-gir ya zabt-o-sukun bad-nasibon ke liye in sab ka hasil ek hai qais ho farhad ho wamiq ho ya mahmud ho hain nigahen mukhtalif laila-e-mahmil ek hai daman-e-har-mauj hi apna to sahil hai 'aziz' kaun kahta hai ki bahr-e-gham mein sahil ek hai