subu utha ki faza sim-e-kham hai saqi faraaz-e-koh pe mah-e-tamam hai saqi chune hue hain piyale jhuki hui botal naya quud nirala qayam hai saqi ba-naz-e-mughbachagan o ba-faiz-e-nara-e-hu huma-e-arz-o-sama zer-e-dam hai saqi faza pe nahr-e-pur-afshan-e-tab hur o tuhur ghina mein shahr-e-qasur-o-khayam hai saqi ye kaun shahid-e-masti-farosh o naghma-nawaz nafas ke tar pe garm-e-khiram hai saqi na ism o jism na harf o nafas na saya o naql ye kya tilism ye kaisa maqam hai saqi ruke na daur ki ab tak ba-zer-e-charkh-e-kabud riya halal hai sahba haram hai saqi ba-nam-e-adam-o-hawwa pila ki garm-e-surud nasim-e-roza-e-darus-salam hai saqi subu-e-qila-shikan ki sipar inayat kar ki tegh-e-daur-e-zaman be-niyam hai saqi agar ghiza-e-khayal-o-nazar se hai mahrum hayat-e-zehn ka mah-e-siyam hai saqi tamam daulat-e-duniya-o-din pe bhaari hai wo dil jo basta-e-hubb-e-anam hai saqi ajab nahin ki tujhe bhi pasand aae ye qaul jhuke na dil to ibaadat haram hai saqi sifat o zat ke aiwan-e-ruh-parwar tak subu se fasala-e-nim-gam hai saqi