tark-e-jam-o-subu na kar pae is liye hum wazu na kar pae waqt-e-akhir bhi hazrat-e-naseh apna munh qibla-ru na kar pae us ki rahmat ke saeban mein tha mera shak bhi adu na kar pae maslahat ki khadi thi jo diwar dur us ko kabhu na kar pae umr bhar dusron ki fikr rahi apna daman rafu na kar pae hae majburiyan ki us ke huzur pesh apna lahu na kar pae kar li kamre mein khud-kushi 'ajiz' us se jab guftugu na kar pae