tamir ka sauda hai na takhrib ka dar hai ye dasht to lagta hai ki majnun ka nagar hai ye moajiza is ijz-e-basarat ne dikhaya aflak nahin hain ye meri hadd-e-nazar hai duba hun magar sail-e-zaman mein nahin duba girdab hai jazbaat ka sochon ka bhanwar hai khun pine laga dekhiye insan ka insan allah qayamat hai ye allah hazar hai maujud ki har chiz hai yun bhi tah-o-baala kya aalam-e-imkan bhi ab zer-o-zabar hai jaane hi nahin dete kahin daere mujh ko main sochta rahta hun safar hai ki hazar hai is shiddat-e-zulmat mein jo zahir hai ufuq par umid-e-sahar hai ki ye tanwir-e-sahar hai jo kuchh bhi guzarti hai zamin walon pe guzre waiz ki to bas aalam-e-baala pe nazar hai