subu par jam par shishe pe paimane pe kya guzri na jaane main ne tauba ki to mai-khane pe kya guzri milen to faizan-e-manzil-e-maqsud se puchhun guzargah-e-mohabbat se guzar jaane pe kya guzri kisi ko mere kashane se hamdardi nahin shayad har ek ye puchhta hai mere kashane pe kya guzri na ho jo zindagi anjam wo wijdan-e-naqis hai huzur-e-shamm'a baad-e-wajd parwane pe kya guzri bataen barhaman aur shaikh un ki khana-jangi mein khuda-khane pe kya biti sanam-khane pe kya guzri tu apne hi maal-e-soz-e-gham par ghaur kar pahle tujhe is se nahin kuchh bahas parwane pe kya guzri kisi hikmat se kar de koi goya marne walon ko ye raaz ab tak hai sar-basta ki mar jaane pe kya guzri teri har su tajalli aur meri har taraf nazren tujhe to yaad hoga aaina-khane pe kya guzri zaban munh mein hai arz-e-haal kar tu ne to dekha hai ki khu-e-zabt-o-khamoshi se parwane pe kya guzri wo kahta tha khuda jaane bahaar aae to kya guzre khuda jaane bahaar aai to diwane pe kya guzri ye hai 'simab' ek na-gufta ba-afsana kya kahiye watan se kunj-e-ghurbat mein chale aane pe kya guzri