us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae ek dard ki khatir kitne dard apnae thak ke so gaya suraj sham ke dhundlakon mein aaj bhi kai ghunche phul ban ke murjhae hum hanse to aankhon mein tairne lagi shabnam tum hanse to gulshan ne tum pe phul barsae us gali mein kya khoya us gali mein kya paya tishna-kaam pahunche the tishna-kaam laut aae phir rahi hain aankhon mein tere shahr ki galiyan dubta hua suraj phailte hue sae 'jalib' ek aawara uljhanon ka gahwara kaun us ko samjhae kaun us ko suljhae