tabassum hai wo honton par jo dil ka kaam kar jae unhen is ki nahin parwa koi marta hai mar jae dua hai meri ai dil tujh se duniya kuch kar jae aur aisi kuchh bane tujh par ki armanon se dar jae jo mauqa mil gaya to khizr se ye baat puchhenge jise ho justuju apni wo bechaara kidhar jae sahar ko sina-e-alam mein partaw dalne wale tasadduq apne jalwe ka mera baatin sanwar jae pareshan baal karte hain unhen shokhi se matlab hai bikharta hai agar shiraaza-e-alam bikhar jae hayat-e-daimi ki lahar hai is zindagani mein agar marne se pahle ban pade to 'josh' mar jae