tere pyar mein ruswa ho kar jaen kahan diwane log jaane kya kya puchh rahe hain ye jaane-pahchane log har lamha ehsas ki sahba ruh mein dhalti jati hai zist ka nashsha kuchh kam ho to ho aaen mai-khane log jaise tumhein hum ne chaha hai kaun bhala yun chahega mana aur bahut aaenge tum se pyar jatane log yun galiyon bazaron mein aawara phirte rahte hain jaise is duniya mein sabhi aae hon umar ganwane log aage pichhe daen baen sae se lahraate hain duniya bhi to dasht-e-bala hai hum hi nahin diwane log kaise dukhon ke mausam aae kaisi aag lagi yaro ab sahraon se late hain phulon ke nazrane log kal matam be-qimat hoga aaj un ki tauqir karo dekho khun-e-jigar se kya kya likhte hain afsane log