tai mujh se zindagi ka kahan fasla hua hai mera gham ke phul se daman bhara hua hariyaliyon ke waste aankhen taras gain har khet mein mila hamein patthar uga hua udti hui patang ke manind main bhi hun mazbut ek dor se lekin bandha hua har samt ehtijaj ki aawaz mar gai kis khamushi ke sath ye mahshar bapa hua is shahr ko faqir ki jab bad-dua lagi barish hui na phir koi manzar hara hua dekha hai us ke sath bhi chal kar bahut 'hasan' lagta hai wo hasin agar ho ruka hua