taron se mahtab se aur kahkashan se kya mera watan zamin hai mujhe aasman se kya tukde jigar ke hon ki tapakta ho khun-e-dil unwan jo tum nahin to tumhein dastan se kya jina jo jaanta ho tadap kar tere baghair is ko teri gali se tere aastan se kya un ka na samna ho usi mein hai aafiyat kya jaaniye ki nikle hamari zaban se kya utrega jab khumar wahi honge ranj-o-gham dil ko sukun milega mai-e-arghawan se kya ai dil hai kis liye tujhe aawargi ka shauq tu bhi bichhad gaya hai kisi karwan se kya gham hai shikast ka na khushi fath ki 'falak' mujh ko amal se kaam hai sud-o-ziyan se kya