tujh se ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai ja mujhe teri tamanna bhi nahin chahiye hai dekh kuchh bhi na sakun main kisi sae ke siwa raushni itni ziyaada bhi nahin chahiye hai ek nazar tishna-e-nazzara hi rakh leni hai ek tamashe mein tamasha bhi nahin chahiye hai khair-o-shar donon mujhe zakhm diye jate hain ye bura kya mujhe achchha bhi nahin chahiye hai ab zara chahiye tanhai mein yaksui mujhe ab koi chahne wala bhi nahin chahiye hai main ne halkan kiya jis ki talab mein khud ko sach to ye hai ki wo duniya bhi nahin chahiye hai rok mat mujh ko farastada-e-tughyani hun us safar mein hun ki rasta bhi nahin chahiye hai jina mushkil to bahut hai teri is duniya mein lekin is khwab ko marna bhi nahin chahiye hai