talab ho sabr ki aur dil mein aarzu aae ghazab hai dost ki khwahish ho aur 'adu aae tum apna rang badalte raho falak ki tarah kisi ki aankh mein ashk aae ya lahu aae teri judai se hai ruh par ye zulm-e-hawas main apne aap mein phir kyon rahun jo tu aae riya ka rang na ho mustanad hain wo aa’mal kalam pukhta hai jab dard-e-dil ki bu aae labon ka bosa jise mil gaya ho wo jaane qadam to us but-e-be-din ke hum bhi chhu aae khuli jo aankh jawani mein 'ishq aa pahuncha jo garmiyon mein khulen dar to kyon na lu aae wo mai nasib kahan in hawas-paraston ko ki ho qadam ko na laghzish na munh se bu aae