sukun-e-zindagi hasil nahin hai

sukun-e-zindagi hasil nahin hai
abhi banda kisi qabil nahin hai

masaib se gurezan hone wale
wo kya insan jis ke dil nahin hai

samajhta ho jo khud ko sab se qabil
yaqinan wo kisi qabil nahin hai

mohabbat lab pe ho aur dil mein nafrat
meri tinat mein ye shamil nahin hai

maal-e-kashti-o-tufan na puchho
ye lagta hai kahin sahil nahin hai

jise chaho jahan barbaad kar do
tumhein aasan hai mushkil nahin hai

kisi bhi shakhs se nafrat baratna
mere aadab mein dakhil nahin hai

koi itna bata de zalimon ko
khuda mazlum se ghafil nahin hai

jahan shaki hai tujh se ai mere dost
nahin hai koi to 'manzil' nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close