tajalliyon ko bhi andaza-e-nazar na raha kuchh eatibar tera jalwa-e-sahar na raha tasawwuraat mein bhi ab wo jalwa-gar na raha nazar wahi hai magar hasil-e-nazar na raha chaman mein aai thi kal jin ke dam-qadam se bahaar unhin ka aaj chaman par koi asar na raha luta hai manzil-e-maqsad pe karwan jab se meri nigah mein phir koi rahbar na raha bahaar mein use rang-e-khizan nazar aaya jise bahaar mein ehsas-e-baal-o-par na raha sukun-e-dil ka ho aalam ki dard ki manzil wo kis faza mein kahan mera ham-safar na raha na sham-e-bazm ka jalwa na raqs-e-parwana sahar ke baad wo hangama-e-sahar na raha guzar gai bahut achchhi gham-e-mohabbat mein gham-e-hayat ka bar apne dosh par na raha fareb-e-jalwa ne kya kar diya nigahon ko ki ab nigah mein jalwa bhi mo'atabar na raha naqab rukh se tum apne utha to loge magar natija kya mujhe hosh-e-nazar agar na raha na be-khudi ki faza thi na hosh ka aalam magar main farz-e-mohabbat se be-khabar na raha main sang-e-dar se bhi ab be-niyaz hun 'sajid' jabin-e-shauq pe ehsan-e-sang-e-dar na raha