udas rahne ki aadaton ka shikar ho kar

udas rahne ki aadaton ka shikar ho kar
tu rah na jaana ai zindagi tar-tar ho kar

faqat sharabon ke aasre kat rahe hain din-raat
utar chuka hum ko aur to har khumar ho kar

hum apne hone ki khush-gumani mein chur the jab
guzar gai hum se yaad-e-parwardigar ho kar

ye be-yaqini hai aadmi tak to thik lekin
main rah na jaun khuda se be-e'tibar ho kar

main kab se qaid-e-wajud mein ghut raha hun lekin
mujhe sukun bhi nahin hai khud se farar ho kar

wo bhole-pan ko pahan ke phirta hai is jahan mein
tum us se milna to bas zara hoshiyar ho kar

wo kaam jis ki hamein tawaqqo thi dushmanon se
amal mein kuchh log lae to hain pa yar ho kar

abhi to un ko faza mein har samt tha mahakna
jo khushbuen rah gain supurd-e-ghubar ho kar

'amar' kahin khul na jae haalat sukun-e-dil ki
milo har ek shakhs se bade be-qarar ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close