suni suni si hai har bazm-e-sukhan tere baad khatm hai silsila-e-azmat-e-fan tere baad apne afkar se urdu ko nawaza tu ne kis ko urdu se hai ab itni lagan tere baad kabhi 'ghaalib' to kabhi 'mir' ke andaz mein sher hai mayassar kise ye tarz-e-sukhan tere baad bahr-e-takhil mein agli si rawani wo kahan maujzan ab bhi hain go gang-o-jaman tere baad mahfil-e-sher-o-adab mein wo kahan josh-o-kharosh sard hai garmi-e-bazar-e-sukhan tere baad kis se paenge sawalon ka sukun-bakhsh jawab dil ko mahsus si hoti hai ghutan tere baad koi suljha na saka zulf-e-adab baad tere pad gai gesu-e-urdu mein shikan tere baad tera har sher naya tera har uslub jadid kaun todega riwayat-e-kuhan tere baad ilm-o-fan mein tera sani koi maujud nahin naz kis par karen ab ahl-e-watan tere baad jaan dene ke liye apni ba-nam-e-urdu kaun pahunchega sar-e-dar-o-rasan tere baad kaun rakkhega yahan mai-kada-e-sher ki laj dekhna hai hamein rindon ka chalan tere baad kya guzarti hai khabar hai tujhe ai ruh-e-'firaq' dil-e-'jauhar' pe sar-e-bazm-e-sukhan tere baad