sukut-e-shab se ek naghma suna hai

sukut-e-shab se ek naghma suna hai
wahi kanon mein ab tak gunjta hai

ghanimat hai ki apne gham-zadon ko
wo husn-e-khud-nigar pahchanta hai

jise kho kar bahut maghmum hun main
suna hai us ka gham mujh se siwa hai

kuchh aise gham bhi hain jin se abhi tak
dil-e-gham-ashna na-ashna hai

bahut chhote hain mujh se mere dushman
jo mera dost hai mujh se bada hai

mujhe har aan kuchh banna padega
meri har sans meri ibtida hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close