tu agar be-naqab ho jata to har ek faizyab ho jata tare sab mahtab ho jate mahtab aaftab ho jata likhte diwan mein jo wasf-e-rukh har waraq aaftab ho jata tu batata jo rah-e-mai-khana shaikh kar-e-sawab ho jata imtihan lete hain wo maqtal mein pahle main intikhab ho jata thi hawa-e-khudi bhari is mein kyun na be-khud habab ho jata jag uthte nasib aashiq ke yar agar mast-e-khwab ho jata chain se sote farsh-e-rahat par jo khayal un ka khwab ho jata shab-e-wada agar na aate aap khwab bhi mujh ko khwab kash ai dard-e-ishq tere liye dil mera intikhab ho jata yarab us but ko shokhiyan aatin dur us se hijab ho jata chaal chalte jo tum qayamat ki fitna hi ham-rikab ho jata apna nakhun tarashta wo khud mah-e-nau ka jawab ho jata jang hoti adu se ai 'sabir' aur main fath-yab ho jata