sulh-o-paikar bhi ho aur rifaqat bhi rahe

sulh-o-paikar bhi ho aur rifaqat bhi rahe
khun mein ajdad ki thodi si sharafat bhi rahe

zehn-e-khwabida ko masruf-e-amal rakhna hai
kya zaruri ki ishaaron mein sarahat bhi rahe

ye to mumkin hai faqat gosha-e-tanhai mein
shor-e-bazar na ho aur qayamat bhi rahe

raushni ke liye darkar hai be-tabi-e-khak
chand lekin hunar-e-shab se ibarat bhi rahe

sunte aae hain mohabbat hai ibaadat ai dost
kabhi hans-bol ke baitho to ibaadat bhi rahe

shairi naghmagari saat-e-hairani mein
taza-kari ho magar pas-e-riwayat bhi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close