sun ke furqat chup hua aisa ki murda ho gaya puchhta hai yar ro ro kar tujhe kya ho gaya dekh kar chashm-e-siyah-e-mah-ru wahshat hui chandni mein us hiran ka rang kala ho gaya kar diya abru ne do tukde ba-rang-e-zulfiqar ek hi talwar mein sari ka aadha ho gaya kya diya bosa lab-e-shirin ka ho kar tursh-ru munh hua mitha to kya dil apna khatta ho gaya munh jo us yusuf ne phera ho gae be-kar sab dida-e-yaqub chah-e-aina andha ho gaya dil jo tadpa dagh se raushan jahan-e-dil hua barq jab chamki andhere mein ujala ho gaya 'arsh' us ki sard-mehri ta-dam-e-akhir rahi dil hua thanda na sara jism thanda ho gaya