suna hai un ke lab par kal tha zikr-e-mukhtasar mera tasawwur de raha hai tul isi ko kis qadar mera ye dil-sozi-e-dard-e-adamiyyat kya qayamat hai kisi ki aankh se aansu bahen daman ho tar mera tasawwur mai-kade ka mushtarak ho kis tarah naseh? khirad saghar-shikan teri junun paimana-gar mera yahi aalam raha gar shauq ki aaina-bandi ka! to gum ho jaega jalwon mein shauq-e-khud-nigar mera khuda-ra kuchh to naz-e-sar-bulandi rahm kar mujh par tere bar-e-giran se ab jhuka jata hai sar mera ulajh kar rah gai thi aql to parde ke taron mein badi mushkil se kaam aaya junun-e-parda-dar mera nahin 'parwez' kuchh apne hi ashkon ki nami is mein bana hai aastin-e-dostan daman-e-tar mera