wo karb jo azal se nihan rahguzar mein tha manzil ki pyas ban ke hamare jigar mein tha takra ke sang-e-waqt se wo khud-bakhud gira ek rakhsh wahm ka jo azal se safar mein tha tum wusat-e-falak mein mujhe dhundte rahe jab main khud is zamin ke har khushk-o-tar mein tha zulmat ki tez dhup se us ne bacha liya ek ped raushni ka jo is rah guzar mein tha yun ghairiyat ka zard labaada tha jism par har zarra kaenat ka apni nazar mein tha gard-o-ghubar waqt se ye dhak ke rah gaya 'jami' lahu ka rang jo diwar-o-dar mein tha