tadap uthta hun yaadon se lipat kar sham hote hi mujhe dasta hai mera sard bistar sham hote hi parinde aashiyanon se panahen manga karte hain badalne lagta hai aankhon ka manzar sham hote hi har ek lamha nai yalghaar ka khatra satata hai mukhalif samt se aate hain lashkar sham hote hi main budha ho chala hun phir bhi man takid karti hai mere bete na jaana ghar se bahar sham hote hi khudaya khair aakhir kaun si basti mein aa pahuncha padosi phenkne lagte hain patthar sham hote hi na jaane in dinon khamosh sa rahta hai kyun din mein ubal padta hai jazbon ka samundar sham hote hi ujale mein kisi surat safar to kat hi jata hai miyan 'rashid' magar lagti hai thokar sham hote hi