sunaen ja ke kise apni dastan hum tum

sunaen ja ke kise apni dastan hum tum
khud apna raaz hain khud apne raaz-dan hum tum

ab aa mile hain to ek dusre mein kho jaen
bhatak chuke hain bahut din yahan wahan hum tum

samet lae hain khud ko to dhyan aata hai
bikhar gae the na jaane kahan kahan hum tum

qadam qadam pe wo duniya ki aazmaish thi
ki le rahe the khud apna hi imtihan hum tum

haqiqaton se to ye khwab khubsurat hain
guzar den inhin khwabon ke darmiyan hum tum

safar mein us ka ye kahna tha har qadam pe 'nasim'
ki rahguzar ko bana denge kahkashan hum tum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close