suraj chanda jaisi jodi hum donon din ka raja raat ki rani hum donon jagmag jagmag duniya ka mela jhuta sachcha sona sachchi chandi hum donon ek duje se mil kar pure hote hain aadhi aadhi ek kahani hum donon ghar-ghar dukh-sukh ka ek dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati hum donon duniya ki ye maya kankar patthar hai aansu shabnam hira moti hum donon chaaron or samandar badhti chinta hai lahar lahar lahraati kashti hum donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par wale do panchhi hum donon main dahliz ka dipak hun aa tez hawa raat guzaren apni apni hum donon