tap-e-alam ko jigar mein chhupa ke dekhte hain hum aag apne hi ghar ko laga ke dekhte hain khuda ko dekhte hain yun hum us ki surat mein ki goya samne apne bitha ke dekhte hain wo bole dekh ke shishe mein apni surat ko shabih-e-hazrat-e-yusuf manga ke dekhte hain chura liya mere pahlu se dil jinhon ne mera ab un ko dekho wo aankhen chura ke dekhte hain na puchh kucha-e-jaanan ki rahguzar 'nayab' hanuz jazba-e-dil aazma ke dekhte hain