ye nafs hamara dushman hai ise rah pe lana mushkil hai auron ko manana aasan hai is dil ko manana mushkil hai aata hai hamein bhi ai waiz teri hi tarah taqrir ka fan baaton ka banana aasan hai kuchh kar ke dikhana mushkil hai do lafz zaban par aate hain rishte qaem ho jate hain rishton ka banana aasan hai rishton ka nibhana mushkil hai mana ki sabhi insan hi hain ehsas bhi hai jazbaat bhi hain hathon ka milana aasan hai par sath nibhana mushkil hai israf ke jo hain shaidai shaitan ke hote hain bhai paison ka lutana aasan hai paison ka kamana mushkil hai haq baat jise tum kahte ho haq hai ki yahi sachchai hai par ye bhi haqiqat hai yaro manega zamana mushkil hai insan ke hathon mein jazib tamir bhi hai takhrib bhi hai sau shamen bujhana aasan hai ek shama jalana mushkil hai