sune sune se falak par ek ghaTa banti hui

sune sune se falak par ek ghata banti hui
dhire dhire us ki aamad ki faza banti hui

janm ka bas ek lamha aur ab ye zindagi
ek zara si baat badh kar masala banti hui

qaid si lagne lagi hai mujh ko ye aawargi
ab to aazadi bhi meri ek saza banti hui

teri di har chot ek lazzat si hai mere liye
ab ye lazzat daimi sa zaiqa banti hui

kar gai hai kis qadar masruf mujh ko dekhiye
meri subh-o-sham ka wo mashghala banti hui

hain sabhi tute hue ye jaan paya jab dukhi
meri ek tuti sada sab ki sada banti hui

ai mere sae mila hai jab se tujh sa ham-safar
raste ki har musibat rasta banti hui

tham chuki thi jab ki har halchal teri yaad aai phir
zindagi ki sath par ek bulbula banti hui

meri aankhen hain abhi bhi is tilismi qaid mein
is ki wo dhundli si surat ja-ba-ja banti hui

is jalan ke sath hi rahna hai ab 'atish' mujhe
jo meri zid thi kabhi ab wo ana banti hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close