wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha jo kuchh bhi aaj tak nazar aaya wo khwab tha pa-e-murad pa ke wo behaal ho gaya manzil bahut hasin thi rasta kharab tha chehre ko tere dekh ke khamosh ho gaya aisa nahin sawal tera la-jawab tha us ke paron mein quwwat parwaz thi magar un mausamon ka apna bhi koi hisab tha aankhon mein zindagi ki tarah aa basa hai wo meri nazar mein pahle jo manzar kharab tha jaise hawa ka jhonka tha aa kar guzar gaya wo shakhs is ke baad kahan dastiyab tha sara kalam us se muanwan hua 'hayat' jis ka wajud khud bhi mukammal kitab tha