wo dilkashi wo raushni-e-baam-o-dar gai tum kya gae ki raunaq-e-sham-o-sahar gai chashm-e-karam ki khair ajab kaam kar gai be-rangi-e-hayat mein sau rang bhar gai main intizar hi mein raha aur zindagi chup-chap mere pas se ho kar guzar gai ashkon ki bund yar ki taswir dekh kar auraq-e-gul pe surat-e-shabnam bikhar gai ahd-e-wafa-e-dost ho ya intizar-e-dost har baat eatibar ki had se guzar gai aai jo teri yaad to manind-e-bu-e-gul sari faza-e-shauq ko makhmur kar gai itna to meri aah ka radd-e-amal hua un ki jabin pe ek shikan si ubhar gai milte hi aaj un ki junun-afrin nigah mujh ko har ek chiz se begana kar gai 'jauhar' na puchh umr-e-gurezan ki sarguzasht jis tarah bhi guzar gai aakhir guzar gai