sunsan raston se sawari na aaegi

sunsan raston se sawari na aaegi
ab dhul se ati hui lari na aaegi

chhappar ke chae-khane bhi ab unghne lage
paidal chalo ki koi sawari na aaegi

tahrir o guftugu mein kise dhundte hain log
taswir mein bhi shakl hamari na aaegi

sar par zamin le ke hawaon ke sath ja
aahista chalne wale ki bari na aaegi

pahchan apni hum ne mitai hai is tarah
bachchon mein koi baat hamari na aaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close