taswir wahi hai pas-e-taswir koi aur fankar nawa-gar hai nawagir koi aur bas khwab hi dekhega faqat dekhne wala paega magar khwab ki tabir koi aur hum log to shatranj ke mohron ki tarah hain likhta hai yahan shahr ki taqdir koi aur mafhum badal jata hai alfaz ka har bar likhta hun to ban jati hai tahrir koi aur buniyaad to shahkar ki rakkhi thi kisi ne ab us pe imarat hui tamir koi aur har-chand ki tiryaq se matlub hai tiryaq is daur mein hai zahr ki tasir koi aur hum log tere dard ke bele mein rahenge le jaega sab husn ki jagir koi aur jata hun kisi aur se milne ke bahane hota hai mere panw ki zanjir koi aur